Ae dil tu thakta kyu nahi
Aasman ki chah liye tu kitne din jee payega
Kitni dhadkane gavayega
Kitne zulm sahega aur kitne dhayega
Gir gaya jo patta shakh se,
Use kitne din apni aankho me bithayega
Behla phusla ke khud ko
Kitne aur aansu rulayega
Jo nahi tha tera kabhi
Us pe kya rona
Zindagi ka khel samajh le
Kuch paana aur khuch khona